Saturday, May 20, 2017

zindgi kia hai, kiun hai, kis liay hai...??


Yeh woh sawal hai jiska jawab talash karnay, samajhnay aur phir us par amal karnay k liay hamain takreeban 60 saal diy jatay hain :) , aur is sawal ka jawab "bian" karnay k liay dunia ka tamam ilm hasil karna paray tau bhi kam par jaey ga :)

zindgi ko dusray lafzon ma kaha ja sakta hai "apna maqsad hasil karnay k liay STRUGGLE aur apnay maqsad se roknay walay k liay RESISTANCE show karna "

zindgi ki misal "pani" hai..
mot ki misal "matti" hai ...

matti yani murda chiz ka koi zati maqsad nahi hia, balkeh zinda chizain issay apnay maqsad k liay istemal karti hain.

pani ka maqsad dunia ki har chiz k kaam ana hai, aur is maqsad k liay yeh safar karta rehta hai, mosam badalnay k liay samander se hawa main, makhlooq ki zarurat k liay hawa se pahar par, pahar se maidan ki taraf aur maidan se samandari makhlooq k liay khurak le kar samandar ki taraf, HAMESHA safar karta rehta hai, aur JO KOI IS KA RASTA ROKNAY KI KOSHISH KARAY US K KHILAF RESISTANCE SHOW KARTA HAI AUR AKHIR KAAR KHUD APNA RAASTA NIKAL LETA HAI...

isi tarhan zindgi ki dusri misal "janwar" hain, tamam janwar bhi apnay maksad k sath "zinda" hain aur apnay rastay ma parnay wali rukawat par "resist" kartay nazar atay hain lekin "pani" ma aur janwar ma farq yeh hai k pani sirf "dusron" ki khatir safar karta hai jabkeh "janwar" sirf apnay "zaati" makasad k liay zinda hain aur sirf "khanay, peenay aur bachay peda karnay k liay" safar kartay hain aur sirf us chiz k agay resist kartay hain jo unhay "apna matlab poora karnay se rokay" , yahan tak k aik bakra dusray bakray ko isliay seeng marta hai qk woh us k pasandeedah poday ko kha rha hota hai.

lekin in sab chizon k ilawa kainat ma aik anokhi makhloq bhi hai jissay "insaan" kaha jata hai.. aur "haqiqi zindgi" sirf insanon ko ata ki gai hai, aur is haqiqi zindgi k raaz samjhanay k liay is kainat ki har chiz sajayi gayi hai..

insaanon ki "haqiqi zindgi" ka taluk aqal se hai aur aqal ka taluk "ilm" se hai.. lehaza haqiqat ma zinda insan woh hai jiska safar aur uski struggle "ilm" hasil karnay k liay hai..

insaan k liay sab se bara ilm yeh hai k woh is baat ki tehqeeq ma lagay k ussay aur uski kainat ko peda kis nay kia? is sawal ko hal karnay k liay struggle aur resistance "zindgi" ka saboot hai..

isi tarhan apnay peda karnay walay ko pehchan kar uska ahsan mand aur shuker guzar ho kar uski ibadat karna "asal zindgi" hai.... aur usi khaliq ki peda ki hui "makhlooq" se mohabbat karna aur uski khidmat karna zindgi ka maksad hai, aur is makhlooq ko nuksan pohanchanay walon se larna, is zindgi ki "RESISTANCE" hai....

woh insaan jis ki zindgi ka maksad aur uski resistance sirf uskay "zaati makasad" pooray karna ho (khana, peena, bachay peda karna), asal ma uski zindgi "janwaron" jesi hai....

Aur yehi is kainat ka imtehan hai k "pani jesi zinda chiz" se peda honay wali makhlooq ma sy kitnay log "zinda" honay ka saboot detay hain, aur kitnay log "janwar" ban jatay hain....... yeh insan ka "maksad" hai jo ussay insaan hotay huway bhi janwar bana sakta hai..

aur isi imtehan ma kamiat honay walay "zinda" logon k liay "jannat jesa zinda maqam" tayyar kia gya hai.



No comments:

Post a Comment

زیادہ ذہین ہونے کی آٹھ نشانیاں

پہلی نشانی ہے بہت زیادہ سوچنا۔ جو انسان بہت زیادہ سوچ بچار کرتا ہے اور خلا میں گھورتا رہتا ہے وہ پاگل اور بے حد ذہین ہوتا ہے۔ آئن سٹائن...